Wednesday, December 23, 2009

Mera Dost

Main Apne kamre mein baitha hoon
Mera kamra meri duniya hai
Mere kamre mein mera alumni dost rehta hai
Wo "job" karta hai

Poora din wo office mein kaam karta hain
Kisi badi company mein hai shayad
Suna hai "Coding" karta hai
Bachpan se coding shabd se main bada impressed rehta hoon
Kisi alien duniya ke kisi alien se batiyane ki koshish ko coding kehte hain
Wo wakai "intelligent" hai.

Har "Shaam" (matlab raat do baje)
Jab wo office se laut ta hai
Wo phone pe hota hai
Apni anekon mahila mitron mein se kisi ek se batiyate hue.....
Wo bada "friendly" hai.

Subah chaar baje wo mujhe guitar pe madhur dhwaniyaan sunata hai
Main uski farmville ki kheti kar raha hota hoon
Guitar pe wo bada madhur sa note baja raha hai
Wo bada "creative" hai.

Subah 5 baje wo so jata hai
Main koi TV series dekh raha hota hoon
6 episode dekh chuka hoon satvaan chalu kiya hai
Main roz koi naya TV series dhoondh leta hoon time paas ke liye
Mera dost so raha hai
Neend ke maamle mein bhi wo bada "lucky" hai

Subah 12 baje uth ke wo jaldi jaldi naha raha hota hai office jane ko
Mera season khatam hone ki kagar pe hota hai
Main uske saath bazar chala jata hoon
Kal maine ciggrette pi thi
Aaj beedi try karta hoon
Uske office ki car aa gayi.
Lal rang ki badi si
Wo usmein baith ke chala gaya...
Uske jeevan mein "Style" hai

Watchman se ladai ho gayi
mere paas i card nahi tha
mere paas kabhi i card nahi hota
Aisa lagta hai I card se hum "identify" ho jaate hain
Identification se humari pehchaan ho jaati hai
pehchaan se hum paribhashit ho jaate hain
Paribhashit hote hi hum wo karte hain jo paribhasha ke anusaar ho
Baar baar lagataar....aviral ...anant ........roz
Mera Dost aa gaya...
Wo bada "timely" aa gaya roz ki tarah

Deepak Mishra

1 comment: